Thursday, September 14, 2006

Wo Din...

Yeh degree bhi lelo, ye naukri bhi lelo

Bhale Chheen lo mujh se USA ka Visa,

Magar mujhko lauta do University ka canteen,

Wo chaay ka glass, wo teekha samosaa.

Wo University ki sabse purani nishaanee,

Wo chaaywala, jise saare kehte the... jaani;

Wo jaani ke hathon ki 'cutting' chaay meethee,

Wo chupkese journal mein bheji hui chitthi,

Wo padhte hi chitthi us ka bhadakna,

Wo chehre ki laali, wo aankhon ka gussaa...

Tapti dhoop mein apne ghar se nikalnaa,

Wo project ki khatir shahar bhar bhataknaa;

Wo lecture mei doston ki proxy lagaanaa,

Wo sir ko chirhanaa , wo aeroplane udaanaa;

Wo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa,

Wo orals ki kahani, wo practicals ka kissaa....

Bimaari ka detention ke time bahanaa,

Wo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa;

Wo seminar ke din pairon ka chhatpatanaa,

Wo workshop mein din raat pasinaa bahanaa;

Wo exam ke din ka bechain maahaul,

Wo parents ka atemad - Teachar ka Bharosaa...

University ki na khatam hone wali ratein

Wo doston se canteen mein pyari si batein

Wo gathering ke din ka ladna jagadna

Ladkiyon ka wo yoon hi hamesha itraana

Bhulaye nahi bhool sakata hai koi

Wo kisse wo batein, wo shararatein. wo jawani

Wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka paani....

No comments: